Dilo ki dooriyan badh gai hai..
Hai aaj ek duje ke kahi aas paas, akele, kai idhar udhar ki dhoori par, Kyonki dilo ki dooriyan badh gai hai..
Tanhai main yaadon ka samandar liye un lahron k saath,hai andar ek yaadon ka shor par zubaan khamosh..
Jab nahi tha kuch bhi paas bus dosti ke, na soch, na koi sankoch, na mann ka wo bharipan.Tab karne ko tha kaafi kuch mann, wo khali jeb..Aaj sab kuch hai paas lekin hai dil udaas par yaadon ke saath.. Kya kare dilo ki dooriyan badh gai hai..
Wo dosto ke saath melo main jana aur unka wo ghar pe aana..Un jokes pe hasna aur wo doston ke bachkane chaalon main fasna, Wo befikri main jhoomna, wo bina plan ke ghumna.Waqt ki koi na thi pabandi.
Wo raat bhar bina soye baat, wo choti choti khushiyon ko milkar manana, wo yuhi roothna manana aur wo har baat ko dil se lagana.
Aaj waqt badal sa gaya hai, aaj yeh sab kuch jaise sapne ho gaye hain, Yeh anjaane sheher, anjaane chehre sab apne ho gaye hain.
Aisa lgta hai jaise baandha ho haathon aur pairon ko na dikhne wale zanjeer se..aaj sab kuch hai paas, sivai yaaron ka saath, kuch idhar udhar ki doori par.
kyonki dilon ki dooriyan badh gai hai..(2)